Wednesday, April 24, 2019

Hair problem solution tips

 Hair problems solution

Hair se related har problems ka solution le kar mai aa gai hu. Mai aapko btaungi ki hum kus tarah apne hair ko problems free and beautiful, long, damage free, hair fall free and strong bna sakte hain. Water and shampoo ke wajah se hamare hair me kai sare problems ho jate hain. Mai aapko hime made fact btaungi jisse aap apne hair ko beautiful, long and strong bna sakte hain. Eske sath sath mai aapko kuch our bhi hair related tips dungi jo aapke hair ke liye acha hoga.

Pehle mai aapko kuch aaise fact btaungi jo aapko daily karna hain. 
So let get strated
1 - Kabhi bhi hair straightener ko apne scales par tough nhi hone dena chahiye. Hair straightener ko balo ki length par hi apply karna chahiye.
2 - Hame cotton ke pillow use nhi karne chahiye. Hame silk ke pillow cover ka use karna chahiye. Esse hamare baal nhi tootte hain.
3 - Hair ke liye oil bahut hi jaruri hota hain par hum oil ka use karna pasand nhi karte kyuki esse hamara hair oily dikhne lagta hain. Par mai aapko advice dungi ki jab aap ghar me ho ya raat ko jaisa bhi oil aapko pasand hain usko apne scales par lga le. Oil hair ke liye bahut hi jaruri hota hain.

 Ab mai start karti hu hair ki problems ko rokne ka nuskhe our eo bhi ghar par.
So let get started 
1 - Hair fall ko stop karne ke liye mai aapko btane wali hu ek solution jo aapko hair wash se pehle apply karna hain. Ese bnane ke liye hame chahiye Aloe vera geland sesame oil ( tilo ka tel ). Ese ache se mix kar le. Mix karne ke baad ese apne scales me apply kare our result paye.
 2 - Hair growth ko jyada bdhane ke liye hame chahiye one egg, two teaspoon row milk and one teaspoon olive oil. En sabhi ko ache se mix karke apne scales par lgaye our kuch deer baad dry hone ke baad wash karke clean kar le.
3 - Hair se dandruff ko door karne our hair loss ko rokne ke liye hame chahiye one egg, three teaspoon aloe vera gel and ome teaspoon olive or coconut oil. En sabhi ko ache se mix kar apne balon me apply kare our dry hone de. Dry hone ke baad ese ache se wash kar le.
 4 - Hair growth kk bdhane ke liye onion juice me lemon juice ko mix karke use me laye ye aapko long hair deta hain.
5 - White hair kk natural black hair me change karne ke liye hame amla/gooseberry ko chote chote pieces me cut karke uska juice bna le. Ab amla juice me one teaspoon lemon juice and coconut oil ko mix kare our cotton ball ki hepl se ese apne scales par apply kare and dry hone ke baad ese clean kar le.

Saturday, April 13, 2019

Lips care

Lips ko beautiful bnaye rakhna bahut hi jaruri hain. Jyadatar log ko dark lips our dry lips ki problem hoti hain. Es problem ko door kanre ke liye mai aapko kuch fact btane wali hu jo aapke lips ko our bhi jyada sundar bnane me help karega.

So let get strated
1- Honey and Vaseline ko mix karke apne lips par apply kare. Ye aapke dry lips ko smooth bna degi.
2 - Toothpaste ko apne lips par scrub ki tarah use kare. Esse aapke dark lips ki layer hat jati hain.
3 - Half reaspoon sugar,  Olive oil ke kuch drops and  honey ko mix karke lips par massage kare.
4 - Honey ko daily apne lips par lgane se aapke lips smooth and pink ho jati hain.
5 - Aloe vera gel ko apne lipa par lgane se ye aapke lips ko glossy bna deta hain.

Skin whitening home remedies

 Skin whitening fact 
 Gori skin kon nhi chahta hain. Skin ko whitening karne ke liye mai aapko btaungi kuch fact. Hamari skin pehle se ki gori hoti hain but sunshine ki wajah se ye dark ho jati hain. Kuch log jo jyada gore nahi hote hain mai unke liye kuch fact btane wali hu jo unko jyada gora kar dega. Jyadatar hum apne face and hand ko gora karna chahte hain to mai aapko ese trick btaungi jo aap apne face our hand dono par apply kar sakte hain.

So let get started
 1 - Skin ko whitening bnane ke liye hame tomato juice and turmeric powder ko mix karke apne face and hand par apply karna chahiye. Ye mask aapko glowing skin dega.
2 - White skin pane ke liye hame chahiye tow teaspoon rice flour and wheat flour. En dono ko ache se mix kar le. Ab esme half teaspoon honey and milk daliye. Ese ache se mix kar ke paste ki tarah bna le. Ab ese apne face par lgaye our kuch deer ke liye dry hone ke liye chod de. Kuch deer baad cold water se ese clean kar le.
3 - Skin ko glowing our whitening bnane ke liye hame chahiye half lemon juice and tomato juice and half teaspoon honey ko mix kar le. Sabse last me esme multani mitti ko milaye. Ese mask ki tarah apne face par lgate our dry hone ke baad clean kar le.
4 - Es face mask ko bnane ke liye hame chahiye lemon juice, rose water and coconut oil. En sabhi ko ache se mix karke apne face and hand par apply kare ye aapko ek whitening and glowing skin dega.

Friday, April 12, 2019

How to remove dark circles permanently at home

 Dark circle 

Eyes ki dark circle se face bahut hi bekaar dikhne lagta hain. Eye ki es problem ko door karne ke liye mai aapko kuch tips btane wali hu jo aapke liye useful hoga.

So let get started 

1 - Cucumber ko slice ko eyes par rakhne par ye aapke eyes ko thandak pahuchata hain. Jaisa ki maine aapko pehle hi btaya tha ki cucumber hamare skin se sari impurity ko nikaal kar hamari skin ko clean karta hain. Slice ko eyes par rakhne se ye aapke dark circle ko clean karta hain.
 2 - Potato hamare dark circle ko door karne me bhi help karta hain. Potato ke juice me cotton ko bhiga kar aakhon ke niche rakhne par ye dark circles ko remove karne me help karta hain.
 3 - One teaspoon turmeric powder, coconut oil and gram flour ko mix karke apne eyes ke niche lgaye. Ye aapke dark circle ko htane me kafi useful rahega.
4 - Aloe vera gel our rose water ko mix karke lgaye. Ye apke dark circle ko remove karne me help karega.

Pimple treatment at home

Pimple removing fact 

Pimple to har kisi ki problem hoti hain. Ye face par hota hain our pimple theek hone ke baad bhi pimple ke nisaaan bane rehte hain. Pimple kai tarahke hote hain. Mai aapko btaungi ki kis tarah aap apne pimple our uske nisaan ko hata sakte hain.

So let get started
1 - Oily skin walon ke liye mai btane wali hu ek acha fact jo aapke oily skin se pimple remove kar dega. Es mask ko bnane ke liye hame charitye besan our tomato. Half tomato ko ache se juice me change karke usme one teaspoon besan ko milye. Ese apne face par lgaye. Ye aapke pimple ko door karne me help karega.
2 - Face se pimple ko hamesha hatane ke liye mai dry skin walon ke liye kuch fact btane wali hu. Dry skin se pimple ko hatane ke liye hame chahiye two teaspoon besan our rose water. Dono ko ache se mix karke apne face par lgaye. Ye aapko thoda deere deere changes dikhayega but esse koi side effect nhi hain our pimple ko htane ke liye ek acha sadhan haun.
3 - Face se jaldi pimple our dark spots ko door karne ke liye hame chahiye coriander leaves ( daniya patta ) ka pest, curd our lemon juice. En sabhi ko ache se mix kar le. Es mixture ko apne face par apply kare. Ye aapko ek acha result dega.
 4 - Pimple removing ke liye hame chahiye tow teaspoon milk, one teaspoon honey and half teaspoon turmeric. En sabhi ko ache se mix karke apne face par apply kare. Ye jaldi se jaldy aapko acha result dega.

Thursday, April 11, 2019

Winter skin care routine

Winter me hamamri skin itni jyada rough ho jati hain. Rough skin me reuses ki problem hoti hain. Cold ki wajah se skin fatne lagti hain.
 Winter me hamari skin dry, rough ho jati hain. Bahut log ki skin oily hoti hain. Oily skin our dry skin walon ke liye kuch tips hai jo mai aapko btane wali hu.

So let get started
1 - Winter me oily skin wale aloe vera gel our honey ko mix katke lgaye. Par dry skin wale ye tips avid kare.
 2 - Winter night me cleanser ke liye coconut oil ka use karna sabse acha hota hain. Coconut oil ko use karne ke baad use remove karne ke baad  honey and gram flour ( besan ) ko mix karke lgana acha hota hain.
3 - Coconut oil and sugar ko mix karne bath se pehle apne body par apply kare and clean kar le. Ye aapke body ko soft bnata hain.

Monday, April 8, 2019

Healthy skin in Summer

 Summer me hamari skin dry, rough and dark ho jati hain. Summer me hamari skin par pimples aa jate hain. Body par sweat ki wajah se skin oily - oily ho jati hain.
Sun light ki wajah se skin dark hone lagti hai our sabse badi problem to ye hai ki summer me hamari skin baar baar clean karne par bhi dirty rehti hain. Skin ki ye kabhi problems ko hum kaise door kare ??
 Mai aapko btaungi ki kis tarah aap apne aapko summer me bhi fight rakh sakte hain.
So let get started 
1 - Summer me body me pani ki kami ho jati hai ese door karne ke liye hame jyada se jyada  cucumber khane chahiye. Cucumber me 90-95% pani hi hota hain, esliye ese khane se body me pani ki kami to door hori hi hain sath hi sath body healthy bhi rehta hain.
2 - Summer me hame lemon and water mix karke pina chachiye. Lemon water pine se ye hamare body ke digestive system ko fight fine bnaye rakhta hain but lemon water ko daity nhi pina chahiye esse kuch side effect bhi hote hain. Lemon water ko ek din chod kar pina chahiye . Lemon ek acidic ingredient hain ealiye daily use karna nhi chahiye.
3 - Summer me fruit juice to body ke liye bahut hi acha hota hain. Fruit me vitamins, iron, calcium, protein, carbohydrate our bhi bahut kuch paya jata hain, jo body ke liye bahut hi jaruri hain. Ealiye summer jitna jyyada ho sake hame fruit juice pina ya fruits khane chahiye.
4 - Summer me sun light me jane se hamari skin our body dark ho jati hain. Es darkness ko door karne ke liye hame lemon ka use karna chahiye.
5 - Oily hair ho smooth bnanne ke liye lemon ko pani me daal kar hair clean karne ke baad lemon water ko apne hair par last me daal le our eake baad usse pani se na clean kare.

A